dil ki lagi agar hai to sud-o-ziyan mein kya
dil kī lagī agar hai to sūd-o-ziyāñ meñ kyā
rahnā junūñ ke saath Thaharnā makāñ meñ kyā
manzar koī nahīñ hai to dekhe kahāñ koī
phir ḳhauf kyoñ diloñ meñ hai pinhāñ dhuāñ meñ kyā
rakh aa.e ham haiñ pesh-e-nazar us ke mudda.ā
ab dekhnā ki baat hai shīrīñ zabāñ meñ kyā
chehra hī bas kamāl kā varna maiñ kyā kahūñ
pakvān rūkhe-phīke haiñ ūñchī dukāñ meñ kyā
mahkā tire nafas se hai har gul kā pairahan
rakkhā hai kyā bahār meñ pinhāñ ḳhizāñ meñ kyā
kahne ko shahr-e-jāñ meñ raqīboñ kā hai hujūm
jab tum nahīñ vahāñ ho to shahr-e-butāñ meñ kyā
partav tumhāre husn kā manzar meñ zau-fagan
varna ye mehr-o-māh chhupā kahkashāñ meñ kyā
jiinā hameñ agar hai muqaddar ke bas tufail
phir kyā kareñ zamīñ pe raheñ āsmāñ meñ kyā
dil ki lagi agar hai to sud-o-ziyan mein kya
rahna junun ke sath Thaharna makan mein kya
manzar koi nahin hai to dekhe kahan koi
phir KHauf kyon dilon mein hai pinhan dhuan mein kya
rakh aae hum hain pesh-e-nazar us ke muddaa
ab dekhna ki baat hai shirin zaban mein kya
chehra hi bas kamal ka warna main kya kahun
pakwan rukhe-phike hain unchi dukan mein kya
mahka tere nafas se hai har gul ka pairahan
rakkha hai kya bahaar mein pinhan KHizan mein kya
kahne ko shahr-e-jaan mein raqibon ka hai hujum
jab tum nahin wahan ho to shahr-e-butan mein kya
partaw tumhaare husn ka manzar mein zau-fagan
warna ye mehr-o-mah chhupa kahkashan mein kya
jina hamein agar hai muqaddar ke bas tufail
phir kya karen zamin pe rahen aasman mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.