dil ki lagi mein ab jo sirhane laga hun main
dil kī lagī meñ ab jo sirhāne lagā huuñ maiñ
muddat ke baa'd apne Thikāne lagā huuñ maiñ
dīvāngī ko dekh to kis intihā kī hai
tujh se nikal ke ḳhud meñ samāne lagā huuñ maiñ
patthar kā but banā rahā ik umr jaane kyoñ
tujh se milā to ashk bahāne lagā huuñ maiñ
maḳhlūq kā hai kaam hī jaltī pe tel kā
apnī lagī ko aap bujhāne lagā huuñ maiñ
kuchh naqsh ban ga.e haiñ tire lafz joḌ kar
tujh ko tirā ḳhayāl sunāne lagā huuñ maiñ
ye sochnā bhī kufr ki ilzām duuñ tujhe
apnī jabīñ kā daaġh miTāne lagā huuñ maiñ
vo bā-kamāl itnā kahāñ tīr-bāz thā
ik hādisa thā us ke nishāne lagā huuñ maiñ
karne lagā huuñ ḳhatm sabhī silsile 'niyāz'
bhaTkā huā thā lauT kar aane lagā huuñ maiñ
dil ki lagi mein ab jo sirhane laga hun main
muddat ke ba'd apne Thikane laga hun main
diwangi ko dekh to kis intiha ki hai
tujh se nikal ke KHud mein samane laga hun main
patthar ka but bana raha ek umr jaane kyon
tujh se mila to ashk bahane laga hun main
maKHluq ka hai kaam hi jalti pe tel ka
apni lagi ko aap bujhane laga hun main
kuchh naqsh ban gae hain tere lafz joD kar
tujh ko tera KHayal sunane laga hun main
ye sochna bhi kufr ki ilzam dun tujhe
apni jabin ka dagh miTane laga hun main
wo ba-kamal itna kahan tir-baz tha
ek hadisa tha us ke nishane laga hun main
karne laga hun KHatm sabhi silsile 'niyaz'
bhaTka hua tha lauT kar aane laga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.