dil ki lagi se iksir hona
dil kī lagī se iksīr honā
ik haath chāñdī ik haath sonā
lutf to jab hai vo ḳhud navāze
kahā bahtī gangā meñ haath dhonā
phir be-ruḳhī hai aur 'ārzī hai
kufr-e-sarāsar māyūs honā
baiThnā uThnā nazm-o-adab se
ain 'ibādat hai un kā honā
'ishq kā maslak sāf-dilī hai
rasm-e-numā.ish dāman ko dhonā
anjuman-ārā.iyoñ ke liye ab
farz nahīñ hai un kā bhī honā
'mānī' ko bai'at hai ik sanam se
kajlā.ī āñkheñ rang salonā
dil ki lagi se iksir hona
ek hath chandi ek hath sona
lutf to jab hai wo KHud nawaze
kaha bahti ganga mein hath dhona
phir be-ruKHi hai aur 'arzi hai
kufr-e-sarasar mayus hona
baiThna uThna nazm-o-adab se
ain 'ibaadat hai un ka hona
'ishq ka maslak saf-dili hai
rasm-e-numaish daman ko dhona
anjuman-araiyon ke liye ab
farz nahin hai un ka bhi hona
'mani' ko bai'at hai ek sanam se
kajlai aankhen rang salona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.