dil ki mahfil sajae baiThe hain
dil kī mahfil sajā.e baiThe haiñ
dar pe nazreñ lagā.e baiThe haiñ
ḳhushī milne kī ġham judā.ī kā
ham to sab kuchh bhulā.e baiThe haiñ
koī ḳhauf-e-ḳhudā na ḳhauf-e-rasūl
zehn-o-dil Dagmagā.e baiThe haiñ
ik farebī se dil lagā kar ham
kyā tamāsha banā.e baiThe haiñ
jab na samjhe talātum-e-daurāñ
dil ko apne gañvā.e baiThe haiñ
pyaar meñ uḌ ga.e haiñ hosh 'asad'
ham to ḳhud ko bhulā.e baiThe haiñ
dil ki mahfil sajae baiThe hain
dar pe nazren lagae baiThe hain
KHushi milne ki gham judai ka
hum to sab kuchh bhulae baiThe hain
koi KHauf-e-KHuda na KHauf-e-rasul
zehn-o-dil Dagmagae baiThe hain
ek farebi se dil laga kar hum
kya tamasha banae baiThe hain
jab na samjhe talatum-e-dauran
dil ko apne ganwae baiThe hain
pyar mein uD gae hain hosh 'asad'
hum to KHud ko bhulae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.