dil ki mere bisat kya ek diya bujha hua
dil kī mire bisāt kyā ek diyā bujhā huā
tum ne ise bajā kahā ek diyā bujhā huā
sar pe musallat kī ga.iiñ saare jahāñ kī zulmateñ
aur mujhe de diyā gayā ek diyā bujhā huā
ham ne to gul kiye the ḳhud apnī umiid ke charāġh
aap ne kyuuñ jalā diyā ek diyā bujhā huā
dil se na mere pūchhiye ālam-e-tark-e-ārzū
taaq meñ jis ke rah gayā ek diyā bujhā huā
ā.īna-e-vajūd meñ ḳhud ko jo dekhne gayā
merā hī 'aks ban gayā ek diyā bujhā huā
jab yake-bā'd-dīgre saare charāġh bujh ga.e
aap hī aap jal uThā ek diyā bujhā huā
aap kī kyā misāl duuñ aap to be-misāl haiñ
aur mirī misāl kyā ek diyā bujhā huā
maiñ ne to us ko baḳhsh dī qalb-o-nazar kī raushnī
us ne ḳhayāl ko diyā ek diyā bujhā huā
'ishq meñ ḳhaak ho ke bhī 'aḳhgar' ik aag sī rahī
mujh meñ ba-har-nafas jalā ek diyā bujhā huā
dil ki mere bisat kya ek diya bujha hua
tum ne ise baja kaha ek diya bujha hua
sar pe musallat ki gain sare jahan ki zulmaten
aur mujhe de diya gaya ek diya bujha hua
hum ne to gul kiye the KHud apni umid ke charagh
aap ne kyun jala diya ek diya bujha hua
dil se na mere puchhiye aalam-e-tark-e-arzu
taq mein jis ke rah gaya ek diya bujha hua
aaina-e-wajud mein KHud ko jo dekhne gaya
mera hi 'aks ban gaya ek diya bujha hua
jab yake-ba'd-digre sare charagh bujh gae
aap hi aap jal uTha ek diya bujha hua
aap ki kya misal dun aap to be-misal hain
aur meri misal kya ek diya bujha hua
main ne to us ko baKHsh di qalb-o-nazar ki raushni
us ne KHayal ko diya ek diya bujha hua
'ishq mein KHak ho ke bhi 'aKHgar' ek aag si rahi
mujh mein ba-har-nafas jala ek diya bujha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.