dil ki miTTi chupke chupke roti hai
dil kī miTTī chupke chupke rotī hai
yaar kahīñ barsāt ġhamoñ kī hotī hai
bechainī meñ Duube jubba aur dastār
fāqa-mastī chādar taan ke sotī hai
pyaar mohabbat rishte naate piir faqīr
dekh ġharībī kyā kyā daulat khotī hai
terā chehra din kā dariyā paar kare
raat kī saarī halchal tujh se hotī hai
jis ko mājhī samjhā us kī mallāhī
sāhil sāhil merī naav Dubotī hai
dhartī ambar nadiyā naale khaa.ī pahāḌ
do misroñ meñ kyā kyā rañg samotī hai
us se 'amjad' bāteñ karnā khel hai kyā
vo to lahje kī ik soī chubhotī hai
dil ki miTTi chupke chupke roti hai
yar kahin barsat ghamon ki hoti hai
bechaini mein Dube jubba aur dastar
faqa-masti chadar tan ke soti hai
pyar mohabbat rishte nate pir faqir
dekh gharibi kya kya daulat khoti hai
tera chehra din ka dariya par kare
raat ki sari halchal tujh se hoti hai
jis ko majhi samjha us ki mallahi
sahil sahil meri naw Duboti hai
dharti ambar nadiya nale khai pahaD
do misron mein kya kya rang samoti hai
us se 'amjad' baaten karna khel hai kya
wo to lahje ki ek soi chubhoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.