dil ki murjhai hui shaKH ko pani de de
dil kī murjhā.ī huī shāḳh ko paanī de de
yaad rakhne ke liye koī nishānī de de
zaḳhm siine meñ purāne jo nikhar aa.e haiñ
dard sahne kī vo aadat bhī purānī de de
us ko ma.alūm to ho jaa.e ki ulfat kyā hai
us ko paḌhne ke liye merī kahānī de de
dekh yuuñ phir vo javānī ke hasīñ din yā-rab
kuchh dinoñ ke liye ehsās-e-javānī de de
jis adā se tū mirā giit paḌhā kartī hai
us adā se use āvāz suhānī de de
kuchh nahīñ chāhiye 'sāqī' ko ḳhudā is ke sivā
sabr ke saath hī bas shīrīñ-zabānī de de
dil ki murjhai hui shaKH ko pani de de
yaad rakhne ke liye koi nishani de de
zaKHm sine mein purane jo nikhar aae hain
dard sahne ki wo aadat bhi purani de de
us ko malum to ho jae ki ulfat kya hai
us ko paDhne ke liye meri kahani de de
dekh yun phir wo jawani ke hasin din ya-rab
kuchh dinon ke liye ehsas-e-jawani de de
jis ada se tu mera git paDha karti hai
us ada se use aawaz suhani de de
kuchh nahin chahiye 'saqi' ko KHuda is ke siwa
sabr ke sath hi bas shirin-zabani de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.