dil ki nadaniyan are tauba
dil kī nādāniyāñ are tauba
ye pashemāniyāñ are tauba
mushkiloñ meñ bhī dil ye kahtā hai
ye tan-āsāniyāñ are tauba
aaj bhī haiñ kalīm nazroñ meñ
tūr-sāmāniyāñ are tauba
nau-ba-nau un kī jalva-sāmānī
merī hairāniyāñ are tauba
rāz-e-ulfat kabhī chhupā na sake
ashk-afshāniyāñ are tauba
daur-e-nā-qadr-dāñ meñ 'zā.iq' kī
ye ġhazal-ḳhvāniyāñ are tauba
dil ki nadaniyan are tauba
ye pashemaniyan are tauba
mushkilon mein bhi dil ye kahta hai
ye tan-asaniyan are tauba
aaj bhi hain kalim nazron mein
tur-samaniyan are tauba
nau-ba-nau un ki jalwa-samani
meri hairaniyan are tauba
raaz-e-ulfat kabhi chhupa na sake
ashk-afshaniyan are tauba
daur-e-na-qadr-dan mein 'zaiq' ki
ye ghazal-KHwaniyan are tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.