dil ki nayya do nainon ke moh mein Dubi jae
dil kī nayyā do nainoñ ke moh meñ Duubī jaa.e
Dag-mag Dole haa.e re nayyā Dag-mag Dole haa.e
kaale kaale meghā barseñ kul dhartī muskā.e
soñdhī maaTī kī ḳhushbū se saarā jag bhar jaa.e
tan bhī bhīge man bhī bhīge sāvan ras barsā.e
shītal shītal jal birhan ke man meñ aag lagā.e
ye mausam pāgal puryayyā man mudrā chhalkā.e
bin chiTThī bin paatī ke hī kaash sajan aa jaa.e
gorī sun ke naam sajan kā haule se sharmā.e
jaise gagan pe sub.h savere pahlī kiran lahrā.e
ḳhushbū kā vo jhoñkā ban ke sahn-e-chaman mahkā.e
mai-ḳhāne meñ ban ke nasha vo har dil pe chhā jaa.e
dil ki nayya do nainon ke moh mein Dubi jae
Dag-mag Dole hae re nayya Dag-mag Dole hae
kale kale megha barsen kul dharti muskae
sondhi maTi ki KHushbu se sara jag bhar jae
tan bhi bhige man bhi bhige sawan ras barsae
shital shital jal birhan ke man mein aag lagae
ye mausam pagal puryayya man mudra chhalkae
bin chiTThi bin pati ke hi kash sajan aa jae
gori sun ke nam sajan ka haule se sharmae
jaise gagan pe subh sawere pahli kiran lahrae
KHushbu ka wo jhonka ban ke sahn-e-chaman mahkae
mai-KHane mein ban ke nasha wo har dil pe chha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.