dil ki qismat ki tere dil mein samo bhi na saka
dil ki qismat ki tere dil mein samo bhi na saka
Syed Mazhar Gilani
MORE BYSyed Mazhar Gilani
dil kī qismat ki tire dil meñ samo bhī na sakā
aur tā-zīst kisī aur kā ho bhī na sakā
ġham-e-paiham ne kabhī fursat-e-ehsās na dī
kyā javānī thī ki jī-bhar ke maiñ ro bhī na sakā
paar bhī kar na sakā bahr-e-junūñ se kam-baḳht
aur dil ziist kī kashtī ko Dubo bhī na sakā
umr-bhar ahd-e-vafā tishna-e-takmīl rahā
maiñ use pā na sakā vo mujhe kho bhī na sakā
jāgne bhī na diyā shauq-e-tasavvur ne kabhī
aur 'maz.har' maiñ kabhī raat ko so bhī na sakā
dil ki qismat ki tere dil mein samo bhi na saka
aur ta-zist kisi aur ka ho bhi na saka
gham-e-paiham ne kabhi fursat-e-ehsas na di
kya jawani thi ki ji-bhar ke main ro bhi na saka
par bhi kar na saka bahr-e-junun se kam-baKHt
aur dil zist ki kashti ko Dubo bhi na saka
umr-bhar ahd-e-wafa tishna-e-takmil raha
main use pa na saka wo mujhe kho bhi na saka
jagne bhi na diya shauq-e-tasawwur ne kabhi
aur 'mazhar' main kabhi raat ko so bhi na saka
- Book : Khamyazah (Pg. 55)
- Author : Mushtaque Shabaab
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.