dil ki rudad dil-lagi na sahi
dil kī rūdād dil-lagī na sahī
sun to liije kabhī abhī na sahī
dekh kar mujh ko pher liiñ nazreñ
in ke chehre pe barhamī na sahī
un kā jalva to har maqām pe hai
aam faizān-e-dīd hī na sahī
mere īqān meñ kamī kyoñ hai
aap ke lutf meñ kamī na sahī
jabr-e-hastī hai nā-guzīr 'ashraf'
zindagī aaj zindagī na sahī
dil ki rudad dil-lagi na sahi
sun to lije kabhi abhi na sahi
dekh kar mujh ko pher lin nazren
in ke chehre pe barhami na sahi
un ka jalwa to har maqam pe hai
aam faizan-e-did hi na sahi
mere iqan mein kami kyon hai
aap ke lutf mein kami na sahi
jabr-e-hasti hai na-guzir 'ashraf'
zindagi aaj zindagi na sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.