dil ki shikast-e-gham ka sila yaad aa gaya
dil kī shikast-e-ġham kā sila yaad aa gayā
dekhā unheñ to ahd-e-vafā yaad aa gayā
rang-e-shafaq ki rang-e-hinā yaad aa gayā
baiThe biThā.e mujh ko ye kyā yaad aa gayā
maiñ bhī hañsā thā dosto ḳhvāboñ kī baat hai
qismat ne kī thī mujh se vafā yaad aa gayā
haq baat kah gayā huuñ magar is ke bāvajūd
mansūr ko milī thī sazā yaad aa gayā
apne ḳhudā se yuuñ to bahut kuchh maiñ māñgtā
chehra tumhārā vaqt-e-duā yaad aa gayā
dil ki shikast-e-gham ka sila yaad aa gaya
dekha unhen to ahd-e-wafa yaad aa gaya
rang-e-shafaq ki rang-e-hina yaad aa gaya
baiThe biThae mujh ko ye kya yaad aa gaya
main bhi hansa tha dosto KHwabon ki baat hai
qismat ne ki thi mujh se wafa yaad aa gaya
haq baat kah gaya hun magar is ke bawajud
mansur ko mili thi saza yaad aa gaya
apne KHuda se yun to bahut kuchh main mangta
chehra tumhaara waqt-e-dua yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.