dil ki shoala-zai ke aankhon ki tughyani ke din
dil ki shoala-zai ke aankhon ki tughyani ke din
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
dil kī sho.ala-zā.ī ke āñkhoñ kī tuġhyānī ke din
haiñ javānī ke hī din dar-asl jaulānī ke din
in meñ to dānā.iyāñ khul kar dikhātī haiñ kamāl
kaun kahtā hai ki ye hote haiñ nādānī ke din
thā lahū meñ tar-ba-tar dāman hamārā jin dinoñ
ham na bhūleñge kabhī vo ḳhūn-afshānī ke din
taaza taaza aayā thā jab kārvān-e-fasl-e-gul
yaad haiñ ab tak hameñ vo ḳhāna-vīrānī ke din
kaise logoñ ko batā.eñ mushkiloñ par mushkileñ
kitnī paidā karte haiñ ye ḳhvāb-sāmānī ke din
hote hote jaan ko ho jaatā hai hāsil qarār
jaate jaate jaate haiñ 'manshā' pareshānī ke din
dil ki shoala-zai ke aankhon ki tughyani ke din
hain jawani ke hi din dar-asl jaulani ke din
in mein to danaiyan khul kar dikhati hain kamal
kaun kahta hai ki ye hote hain nadani ke din
tha lahu mein tar-ba-tar daman hamara jin dinon
hum na bhulenge kabhi wo KHun-afshani ke din
taza taza aaya tha jab karwan-e-fasl-e-gul
yaad hain ab tak hamein wo KHana-virani ke din
kaise logon ko bataen mushkilon par mushkilen
kitni paida karte hain ye KHwab-samani ke din
hote hote jaan ko ho jata hai hasil qarar
jate jate jate hain 'mansha' pareshani ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.