dil ki surat tere sine mein dhaDakta hun main
dil kī sūrat tire siine meñ dhaḌaktā huuñ maiñ
haañ ba-zāhir tire hāthoñ kā khilaunā huuñ maiñ
ab jahāñ chāñd lab-e-bām ubhartā hī nahīñ
jaane kyuuñ phir unhīñ galiyoñ se guzartā huuñ maiñ
kitnā nādān thā maiñ Duub gayā jal bhī gayā
vo bahut kahtā rahā aag kā dariyā huuñ maiñ
aarzū thī ki gulāboñ ke diloñ meñ rahtā
ye sazā paa.ī ki kāñToñ kā bichhaunā huuñ maiñ
mere paas aa ke koī tishna-labī bhuul gayā
maiñ to samjhā thā ki taptā huā sahrā huuñ maiñ
dil ki surat tere sine mein dhaDakta hun main
han ba-zahir tere hathon ka khilauna hun main
ab jahan chand lab-e-baam ubharta hi nahin
jaane kyun phir unhin galiyon se guzarta hun main
kitna nadan tha main Dub gaya jal bhi gaya
wo bahut kahta raha aag ka dariya hun main
aarzu thi ki gulabon ke dilon mein rahta
ye saza pai ki kanTon ka bichhauna hun main
mere pas aa ke koi tishna-labi bhul gaya
main to samjha tha ki tapta hua sahra hun main
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 438)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj,New Delhi-110002 (Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : Edition July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.