dil ki taKHti se meri yaad khurachne wale
dil kī taḳhtī se mirī yaad khurachne vaale
is qadar jald nahīñ naqsh ye miTne vaale
phir kisī yaad kā paudā na lagānā dil meñ
jān-levā haiñ shagūfe bhī ye khilne vaale
ghup añdheroñ kā tadāruk bhī zarūrī Thahrā
shab ke pahlū se haiñ taare bhī nikalne vaale
baur chāhat kā daraḳhtoñ pe lagā dekhā hai
shāḳh-e-ummīd pe haiñ phuul bhī khilne vaale
jab pukārā hai tire naam ko ai rabb-e-karīm
kaam bante hī chale jaa.eñ bigaḌne vaale
ab to tadbīr na.ī DhūñDnī hogī 'ahsan'
sirf bātoñ se nahīñ haiñ vo bahalne vaale
dil ki taKHti se meri yaad khurachne wale
is qadar jald nahin naqsh ye miTne wale
phir kisi yaad ka pauda na lagana dil mein
jaan-lewa hain shagufe bhi ye khilne wale
ghup andheron ka tadaruk bhi zaruri Thahra
shab ke pahlu se hain tare bhi nikalne wale
baur chahat ka daraKHton pe laga dekha hai
shaKH-e-ummid pe hain phul bhi khilne wale
jab pukara hai tere nam ko ai rabb-e-karim
kaam bante hi chale jaen bigaDne wale
ab to tadbir nai DhunDni hogi 'ahsan'
sirf baaton se nahin hain wo bahalne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.