dil ki taswir sajaane nikle
dil kī tasvīr sajāne nikle
apnī taqdīr banāne nikle
rāsta kuchh to kaThin honā thā
ham jo tā'bīr ko paane nikle
ham ne sīkhā hai mohabbat karnā
ḳhvāb ke tiir suhāne nikle
jab munavvar huā ḳhushbū se dil
hādse meñ bhī ḳhazāne nikle
itnā āsān nahīñ jiinā bhī
un se pūchho jo kamāne nikle
dil ke dariyā ne utarnā chāhā
aañkh se log purāne nikle
ham nikal aa.e haiñ ik 'ahd liye
kaun manzil ko gañvāne nikle
aaj so.e hue logoñ meñ ham
dil ke jugnū ko jagāne nikle
tum ne karnā hai jo vo kar Daalo
ham to ḳhud sham' jalāne nikle
dil ki taswir sajaane nikle
apni taqdir banane nikle
rasta kuchh to kaThin hona tha
hum jo ta'bir ko pane nikle
hum ne sikha hai mohabbat karna
KHwab ke tir suhane nikle
jab munawwar hua KHushbu se dil
hadse mein bhi KHazane nikle
itna aasan nahin jina bhi
un se puchho jo kamane nikle
dil ke dariya ne utarna chaha
aankh se log purane nikle
hum nikal aae hain ek 'ahd liye
kaun manzil ko ganwane nikle
aaj soe hue logon mein hum
dil ke jugnu ko jagane nikle
tum ne karna hai jo wo kar Dalo
hum to KHud sham' jalane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.