dil ki tauhin na kar dard sunane wale
dil kī tauhīn na kar dard sunāne vaale
is zamāne meñ ziyāda haiñ zamāne vaale
is galī se bhī kabhī khol ke zulfoñ ko guzar
sar pe rakkhe hue ḳhushbū ke ḳhazāne vaale
aañkh tā۔bīr kī dahlīz pe rakkhī huī hai
ḳhvāb bhī dekhe haiñ nīñdoñ ko uḌāne vaale
rāhat-e-jāñ hai tirī saañs kī ḳhushbū jānāñ
phūñk mantar ye mujhe hosh meñ laane vaale
andhī āñkhoñ pe tū mat bāñdh havas kī paTTī
toḌ kar ḳhvāb na.e ḳhvāb dikhāne vaale
tū mirā thā to tirā naam sahārā bhī thā
chhoḌ kar mujh ko vajūd apnā gañvāne vaale
vaqt jiddat ke ta.āqub meñ kahāñ le aaya
diin sikhlā.enge ab nāchne gaane vaale
bin tire saañs kā ehsān jatātā huā jism
chhoḌne vaalā huuñ ai chhoḌ ke jaane vaale
aaj bhī mere laḌakpan ko tū dekhe 'shāhid'
kaash lauT aa.eñ mire dost purāne vaale
dil ki tauhin na kar dard sunane wale
is zamane mein ziyaada hain zamane wale
is gali se bhi kabhi khol ke zulfon ko guzar
sar pe rakkhe hue KHushbu ke KHazane wale
aankh ta۔bir ki dahliz pe rakkhi hui hai
KHwab bhi dekhe hain nindon ko uDane wale
rahat-e-jaan hai teri sans ki KHushbu jaanan
phunk mantar ye mujhe hosh mein lane wale
andhi aankhon pe tu mat bandh hawas ki paTTi
toD kar KHwab nae KHwab dikhane wale
tu mera tha to tera nam sahaara bhi tha
chhoD kar mujh ko wajud apna ganwane wale
waqt jiddat ke taaqub mein kahan le aaya
din sikhlaenge ab nachne gane wale
bin tere sans ka ehsan jatata hua jism
chhoDne wala hun ai chhoD ke jaane wale
aaj bhi mere laDakpan ko tu dekhe 'shahid'
kash lauT aaen mere dost purane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.