Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki wahshat ne wo diwana banaya mujhko

Hakeem Aagha Jan Aish

dil ki wahshat ne wo diwana banaya mujhko

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    dil vahshat ne vo dīvāna banāyā mujh ko

    duur bhāge hai mirā chhoḌ ke saayā mujh ko

    haath uThāne ke nahīñ ishq-e-butāñ se nāseh

    laakh ek kahī aur na bakvā mujh ko

    ek to jaur-e-butāñ dūsrī ye aur suno

    chain detā nahīñ ik dam dil-e-shaidā mujh ko

    tark-e-ādāb na ho ḳhanjar-e-qātil ke tale

    jaan de o dil-e-betāb na taḌpā mujh ko

    ġhuncha-e-gul na samajhnā dil-e-āshiq huuñ maiñ

    jānegī sabā dekh jo chheḌā mujh ko

    kuchh bhī ġhairat hai tujhe dekh ai ḳhāna-ḳharāb

    log kahte haiñ tire ishq meñ kyā kyā mujh ko

    sho.ala-e-ishq garmī ne shab-e-furqat meñ

    sham.a saañ sub.h se pahle nabeḌā mujh ko

    dil ko le bhāge haiñ jab māñgūñ huuñ dikhlā ruḳh-o-zulf

    bas batāte haiñ yuuñ shām-o-saverā mujh ko

    'aish' ise ḳhūbī-e-qismat ke sivā kyā kahiye

    dil milā hai so vo labrez-e-tamannā mujh ko

    dil ki wahshat ne wo diwana banaya mujh ko

    dur bhage hai mera chhoD ke saya mujh ko

    hath uThane ke nahin ishq-e-butan se naseh

    lakh ki ek kahi aur na bakwa mujh ko

    ek to jaur-e-butan dusri ye aur suno

    chain deta nahin ek dam dil-e-shaida mujh ko

    tark-e-adab na ho KHanjar-e-qatil ke tale

    jaan de o dil-e-betab na taDpa mujh ko

    ghuncha-e-gul na samajhna dil-e-ashiq hun main

    tu hi jaanegi saba dekh jo chheDa mujh ko

    kuchh bhi ghairat hai tujhe dekh tu ai KHana-KHarab

    log kahte hain tere ishq mein kya kya mujh ko

    shoala-e-ishq ki garmi ne shab-e-furqat mein

    shama san subh se pahle hi nabeDa mujh ko

    dil ko le bhage hain jab mangun hun dikhla ruKH-o-zulf

    bas batate hain yun hi sham-o-sawera mujh ko

    'aish' ise KHubi-e-qismat ke siwa kya kahiye

    dil mila hai so wo labrez-e-tamanna mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now