dil ki ye aag bujha di kis ne
dil kī ye aag bujhā dī kis ne
bhīge dāman kī havā dī kis ne
baiTh jaatā thā maiñ jis se lag kar
vahī dīvār girā dī kis ne
merī āvāz pe bolā na koī
chal paḌā maiñ to sadā dī kis ne
ab takānoñ kā safar hai maiñ huuñ
aañkh se niiñd uḌā dī kis ne
apne hī haath se 'farruḳh' mujh ko
zahr piine kī sazā dī kis ne
dil ki ye aag bujha di kis ne
bhige daman ki hawa di kis ne
baiTh jata tha main jis se lag kar
wahi diwar gira di kis ne
meri aawaz pe bola na koi
chal paDa main to sada di kis ne
ab takanon ka safar hai main hun
aankh se nind uDa di kis ne
apne hi hath se 'farruKH' mujh ko
zahr pine ki saza di kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.