dil ki zaban se usko sada dena chahiye
dil kī zabāñ se us ko sadā denā chāhiye
baiThe galā to aise bulā lenā chāhiye
nazreñ churā bachā ke uThā lenā chāhiye
auroñ ke dard kā bhī mazā lenā chāhiye
bistar pe āsmān ke ThiThure hai chandr-mā
bādal idhar-udhar se dabā lenā chāhiye
kāñdhe samay ke bojh se shal ho ga.e to kyā
ye bojh muskurā ke uThā lenā chāhiye
kuchh gumrahī tumheñ pe nahīñ farz rahravo
manzil ko bhī to raah meñ aa lenā chāhiye
aise buzurg baḳht rahā jin kā nā-rasā
aisoñ se zindagī kī duā lenā chāhiye
aa.ina tak to ulTī kahe hai agar fareb
khānā ho koī dost banā lenā chāhiye
un ko parā.e 'ashk' lageñ haiñ agar aziiz
ġhairoñ meñ apnā naam likhā lenā chāhiye
dil ki zaban se us ko sada dena chahiye
baiThe gala to aise bula lena chahiye
nazren chura bacha ke uTha lena chahiye
auron ke dard ka bhi maza lena chahiye
bistar pe aasman ke ThiThure hai chandr-ma
baadal idhar-udhar se daba lena chahiye
kandhe samay ke bojh se shal ho gae to kya
ye bojh muskura ke uTha lena chahiye
kuchh gumrahi tumhein pe nahin farz rahrawo
manzil ko bhi to rah mein aa lena chahiye
aise buzurg baKHt raha jin ka na-rasa
aison se zindagi ki dua lena chahiye
aaina tak to ulTi kahe hai agar fareb
khana ho koi dost bana lena chahiye
un ko parae 'ashk' lagen hain agar aziz
ghairon mein apna nam likha lena chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.