dil kis se lagā.ūñ kahīñ dilbar nahīñ miltā
kyā zulm sahūñ koī sitamgar nahīñ miltā
ḳhat le ke gayā jo vo kabūtar nahīñ miltā
kyā zikr kabūtar kā hai ik par nahīñ miltā
zulfoñ kī tarah 'umr basar ho ga.ī apnī
ham ḳhāna-ba-doshoñ ko kahīñ ghar nahīñ miltā
kyā ḳhaak mudāvā kareñ shorīda-sarī kā
sar phoḌne ko DhūñDheñ to patthar nahīñ miltā
gunjlak nahīñ miTtī jo tabī'at meñ paḌī hai
dil tujh se kisī taur se dilbar nahīñ miltā
kyā kījiye tārīf binā gosh kī us ke
āveze ko jis kaan ke gauhar nahīñ miltā
gum jab se huā huuñ maiñ tirī rāh-e-talab meñ
jab DhūñDhtā huuñ aap ko aksar nahīñ miltā
kuchh tālib-e-zar but hī nahīñ ġhaur se dekho
haq yuuñ hai ki allāh bhī be-zar nahīñ miltā
sūrat nahīñ miltī tirī sūrat se kisī kī
gahne se kisī ke tirā zevar nahīñ miltā
ārā.isheñ mauqūf huiiñ kis liye ai jaan
gauhar nahīñ miltā hai ki zar-gar nahīñ miltā
abrū kī mohabbat meñ kise ziist hai manzūr
mar jā.ūñ galā kaaT ke ḳhanjar nahīñ miltā
rindān-e-mai-āshām nahīñ jaam ke pāband
ham ok se piite haiñ jo sāġhar nahīñ miltā
vahshat meñ nikal jā.ūñ maiñ sarhad se zamīñ kī
is gumbad-e-gardāñ kā vale dar nahīñ miltā
o barq-e-tajallī tire kushte kī lahad par
kyā lauh bane tuur kā patthar nahīñ miltā
hāzir huuñ mujhe basta-e-fitrāk-e-faras kar
gar said koī turk-e-sitamgar nahīñ miltā
āshiq se na khīñch aap ko ai bādshah-e-husn
darvesh se kyā jhuk ke tavañgar nahīñ miltā
jo zaḳhm ko siine ke siye Tāñke jigar ko
aisā koī ustād rafūgar nahīñ miltā
ai 'rind' labālab ho jo irfān kī mai se
sāġhar vo ba-juz sāqī-e-kausar nahīñ miltā
dil kis se lagaun kahin dilbar nahin milta
kya zulm sahun koi sitamgar nahin milta
KHat le ke gaya jo wo kabutar nahin milta
kya zikr kabutar ka hai ek par nahin milta
zulfon ki tarah 'umr basar ho gai apni
hum KHana-ba-doshon ko kahin ghar nahin milta
kya KHak mudawa karen shorida-sari ka
sar phoDne ko DhunDhen to patthar nahin milta
gunjlak nahin miTti jo tabi'at mein paDi hai
dil tujh se kisi taur se dilbar nahin milta
kya kijiye tarif bina gosh ki us ke
aaweze ko jis kan ke gauhar nahin milta
gum jab se hua hun main teri rah-e-talab mein
jab DhunDhta hun aap ko aksar nahin milta
kuchh talib-e-zar but hi nahin ghaur se dekho
haq yun hai ki allah bhi be-zar nahin milta
surat nahin milti teri surat se kisi ki
gahne se kisi ke tera zewar nahin milta
aaraishen mauquf huin kis liye ai jaan
gauhar nahin milta hai ki zar-gar nahin milta
abru ki mohabbat mein kise zist hai manzur
mar jaun gala kaT ke KHanjar nahin milta
rindan-e-mai-asham nahin jam ke paband
hum ok se pite hain jo saghar nahin milta
wahshat mein nikal jaun main sarhad se zamin ki
is gumbad-e-gardan ka wale dar nahin milta
o barq-e-tajalli tere kushte ki lahad par
kya lauh bane tur ka patthar nahin milta
hazir hun mujhe basta-e-fitrak-e-faras kar
gar said koi turk-e-sitamgar nahin milta
aashiq se na khinch aap ko ai baadshah-e-husn
darwesh se kya jhuk ke tawangar nahin milta
jo zaKHm ko sine ke siye Tanke jigar ko
aisa koi ustad rafugar nahin milta
ai 'rind' labaalab ho jo irfan ki mai se
saghar wo ba-juz saqi-e-kausar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.