dil kisi samt kisi samt qadam jata hai
dil kisī samt kisī samt qadam jaatā hai
tere maujūd ke chakkar meñ adam jaatā hai
aur to kuchh nahīñ hotā tire milne se magar
ek tūfān-e-ta'alluq hai jo tham jaatā hai
mujh ko sāvan meñ kabhī ḳhat na ravāna karnā
jaate jaate tire maktūb se nam jaatā hai
is liye bolā use ḳhud se pare jaane kā
jis taraf ham use kahte haiñ vo kam jaatā hai
raqs-e-doshīza-e-duniyā pe nazar paḌte hī
jām-e-jamshed mire haath meñ jam jaatā hai
kisī dil se kisī pahlū se kisī duniyā se
aadmī jaatā hai kab ranj-o-alam jaatā hai
naġhma-e-tūl-e-shab-e-hijr mire bas kā nahīñ
maiñ agar lai ko pakaḌtā huuñ to sam jaatā hai
haath uThā luuñ to tirī ḳhushbū chalī jā.egī
sar jhaTak duuñ to tirā dast-e-sitam jaatā hai
ba.az auqāt havāoñ ke ta.āqub ke liye
maiñ na jā.ūñ to mirā naqsh-e-qadam jaatā hai
dil kisi samt kisi samt qadam jata hai
tere maujud ke chakkar mein adam jata hai
aur to kuchh nahin hota tere milne se magar
ek tufan-e-ta'alluq hai jo tham jata hai
mujh ko sawan mein kabhi KHat na rawana karna
jate jate tere maktub se nam jata hai
is liye bola use KHud se pare jaane ka
jis taraf hum use kahte hain wo kam jata hai
raqs-e-doshiza-e-duniya pe nazar paDte hi
jam-e-jamshed mere hath mein jam jata hai
kisi dil se kisi pahlu se kisi duniya se
aadmi jata hai kab ranj-o-alam jata hai
naghma-e-tul-e-shab-e-hijr mere bas ka nahin
main agar lai ko pakaDta hun to sam jata hai
hath uTha lun to teri KHushbu chali jaegi
sar jhaTak dun to tera dast-e-sitam jata hai
baz auqat hawaon ke taaqub ke liye
main na jaun to mera naqsh-e-qadam jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.