dil kisi se bhi agar lagta hai
dil kisī se bhī agar lagtā hai
phir to dīvār se sar lagtā hai
ek bas tum ko hī chāhūñ lekin
mujh ko is ishq se Dar lagtā hai
terī yādoñ se sajātī huuñ jab
muskurātā huā ghar lagtā hai
ham-safar tū jo nahīñ hai merā
rūThā rūThā sā safar lagtā hai
mīThe mīThe se ḳhayāl aate haiñ
terī bātoñ kā asar lagtā hai
ab nahīñ hai vo 'ananyā' terā
sach nahīñ hai ye magar lagtā hai
dil kisi se bhi agar lagta hai
phir to diwar se sar lagta hai
ek bas tum ko hi chahun lekin
mujh ko is ishq se Dar lagta hai
teri yaadon se sajati hun jab
muskuraata hua ghar lagta hai
ham-safar tu jo nahin hai mera
ruTha ruTha sa safar lagta hai
miThe miThe se KHayal aate hain
teri baaton ka asar lagta hai
ab nahin hai wo 'ananya' tera
sach nahin hai ye magar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.