dil kisi se laga ke dekh liya
dil kisi se laga ke dekh liya
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
dil kisī se lagā ke dekh liyā
choT par choT khā ke dekh liyā
rahm kis ḳhush-nasīb par aayā
kis ko chilman uThā ke dekh liyā
chain aatā nahīñ kisī pahlū
tum ne mujh ko satā ke dekh liyā
tere armān ke sivā kyā hai
dil kī duniyā meñ aa ke dekh liyā
bevafā kaun bā-vafā hai kaun
aap ne aazmā ke dekh liyā
umr-e-rafta kī yaad aa hī ga.ī
aa.ina jab uThā ke dekh liyā
hil gayā arsh hai are zālim
ka.aba-e-dil ko Dhā ke dekh liyā
ye bhī ik chaal hai satāne kī
jab mile muskurā ke dekh liyā
be-vafā hai zamāna ai 'ahmar'
har tarah aazmā ke dekh liyā
dil kisi se laga ke dekh liya
choT par choT kha ke dekh liya
rahm kis KHush-nasib par aaya
kis ko chilman uTha ke dekh liya
chain aata nahin kisi pahlu
tum ne mujh ko sata ke dekh liya
tere arman ke siwa kya hai
dil ki duniya mein aa ke dekh liya
bewafa kaun ba-wafa hai kaun
aap ne aazma ke dekh liya
umr-e-rafta ki yaad aa hi gai
aaina jab uTha ke dekh liya
hil gaya arsh hai are zalim
kaba-e-dil ko Dha ke dekh liya
ye bhi ek chaal hai satane ki
jab mile muskura ke dekh liya
be-wafa hai zamana ai 'ahmar'
har tarah aazma ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.