dil kitna aabaad hua jab did ke ghar barbaad hue
dil kitnā ābād huā jab diid ke ghar barbād hue
vo bichhḌā aur dhyān meñ us ke sau mausam ījād hue
nāmvarī kī baat digar hai varna yaaro socho to
gulgūñ ab tak kitne teshe be-ḳhūn-e-farhād hue
lā.eñge kahāñ se bol rasīle hoñToñ kī nādārī meñ
samjho ek zamāna guzrā bosoñ kī imdād hue
tum merī ik ḳhud-mastī ho maiñ huuñ tumhārī ḳhud-bīnī
rishte meñ ik ishq ke ham tum donoñ be-buniyād hue
merā kyā ik mauj-e-havā huuñ par yuuñ hai ai ġhuncha-dahan
tū ne dil kā baaġh jo chhoḌā ġhunche be-ustād hue
ishq-mohalle meñ ab yaaro kyā koī ma.ashūq nahīñ
kitne qātil mausam guzre shor hue fariyād hue
ham ne dil ko maar rakhā hai aur jatāte phirte haiñ
ham dil zaḳhmī mizhgāñ ḳhūnīñ ham na hue jallād hue
barq kiyā hai aks-e-badan ne tere hameñ ik tañg qabā
tere badan par jitne til haiñ saare ham ko yaad hue
tū ne kabhī sochā to hogā sochā bhī ai mast-adā
terī adā kī ābādī par kitne ghar barbād hue
jo kuchh bhī rūdād-e-suḳhan thī hoñToñ kī duurī se thī
jab hoñToñ se hoñT mile to yak-dam be-rūdād hue
ḳhāk-nashīnoñ se kūche ke kyā kyā naḳhvat karte haiñ
jānāñ jaan tire darbāñ to fir.aun-o-shaddād hue
shahroñ meñ hī ḳhaak uḌā lo shor machā lo be-jā lo
jin dashtoñ kī soch rahe ho vo kab ke barbād hue
samtoñ meñ bikhrī vo ḳhalvat vo dil kī rañg-e-ābādī
ya.anī vo jo bām-o-dar the yaksar gard-o-bād hue
tū ne rindoñ kā haq maarā mai-ḳhāne meñ raat ga.e
shaiḳh khare sayyad haiñ ham to ham ne sunāyā shaad hue
dil kitna aabaad hua jab did ke ghar barbaad hue
wo bichhDa aur dhyan mein us ke sau mausam ijad hue
namwari ki baat digar hai warna yaro socho to
gulgun ab tak kitne teshe be-KHun-e-farhad hue
laenge kahan se bol rasile honTon ki nadari mein
samjho ek zamana guzra boson ki imdad hue
tum meri ek KHud-masti ho main hun tumhaari KHud-bini
rishte mein ek ishq ke hum tum donon be-buniyaad hue
mera kya ek mauj-e-hawa hun par yun hai ai ghuncha-dahan
tu ne dil ka bagh jo chhoDa ghunche be-ustad hue
ishq-mohalle mein ab yaro kya koi mashuq nahin
kitne qatil mausam guzre shor hue fariyaad hue
hum ne dil ko mar rakha hai aur jatate phirte hain
hum dil zaKHmi mizhgan KHunin hum na hue jallad hue
barq kiya hai aks-e-badan ne tere hamein ek tang qaba
tere badan par jitne til hain sare hum ko yaad hue
tu ne kabhi socha to hoga socha bhi ai mast-ada
teri ada ki aabaadi par kitne ghar barbaad hue
jo kuchh bhi rudad-e-suKHan thi honTon ki duri se thi
jab honTon se honT mile to yak-dam be-rudad hue
KHak-nashinon se kuche ke kya kya naKHwat karte hain
jaanan jaan tere darban to firaun-o-shaddad hue
shahron mein hi KHak uDa lo shor macha lo be-ja lo
jin dashton ki soch rahe ho wo kab ke barbaad hue
samton mein bikhri wo KHalwat wo dil ki rang-e-abaadi
yani wo jo baam-o-dar the yaksar gard-o-baad hue
tu ne rindon ka haq mara mai-KHane mein raat gae
shaiKH khare sayyad hain hum to hum ne sunaya shad hue
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 123)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.