dil kiya dast-e-sitam-gar ke hawale humne
dil kiyā dast-e-sitam-gar ke havāle ham ne
aa.ina kar diyā patthar ke havāle ham ne
dekhne ke liye maujoñ kī vasī.a-un-nazarī
tishnagī kī hai samundar ke havāle ham ne
dekh to shauq-e-shahādat kī tamanna zālim
kar diyā sar tire ḳhanjar ke havāle ham ne
harf-e-tadbīr kī tafsīr samajhne ke liye
na kiyā ḳhud ko muqaddar ke havāle ham ne
aur kyā duuñ maiñ sazā ḳhvāb-mahal ko aalam
zindagī kar to dī chhappar ke havāle ham ne
dil kiya dast-e-sitam-gar ke hawale hum ne
aaina kar diya patthar ke hawale hum ne
dekhne ke liye maujon ki wasia-un-nazari
tishnagi ki hai samundar ke hawale hum ne
dekh to shauq-e-shahadat ki tamanna zalim
kar diya sar tere KHanjar ke hawale hum ne
harf-e-tadbir ki tafsir samajhne ke liye
na kiya KHud ko muqaddar ke hawale hum ne
aur kya dun main saza KHwab-mahal ko aalam
zindagi kar to di chhappar ke hawale hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.