dil ko aazar laga deti hai
dil ko āzār lagā detī hai
abtarī paar lagā detī hai
chāñd to ek hī hotā hai qalaq
be-kalī chaar lagā detī hai
ham vo tasvīr ḳhamoshī haiñ jise
ḳhud pe dīvār lagā detī hai
hasrats-e-hauq kī chyūñTī dil meñ
ġham kā ambār lagā detī hai
zindagī tere tamāñchoñ se hazar
roz do chaar lagā detī hai
dil ko aazar laga deti hai
abtari par laga deti hai
chand to ek hi hota hai qalaq
be-kali chaar laga deti hai
hum wo taswir KHamoshi hain jise
KHud pe diwar laga deti hai
hasrats-e-hauq ki chyunTi dil mein
gham ka ambar laga deti hai
zindagi tere tamanchon se hazar
roz do chaar laga deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.