Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko aazar lagana hi nahin hota hai

Tariq Hashmi

dil ko aazar lagana hi nahin hota hai

Tariq Hashmi

MORE BYTariq Hashmi

    dil ko āzār lagānā nahīñ hotā hai

    ab tire dhyān meñ jaanā nahīñ hotā hai

    saf-ba-saf der se palkoñ pe ruke haiñ aañsū

    qāfila aage ravāna nahīñ hotā hai

    maañg letā hai dil-o-jān vo hañste hañste

    aur mire paas bahāna nahīñ hotā hai

    mashvara karne ko jaate the kabhī majnūñ se

    dasht meñ ab koī daanā nahīñ hotā hai

    is qadar gard hai is āb-o-havā meñ har-sū

    naḳhl-e-ehsās tavānā nahīñ hotā hai

    haath aa jaatā hai us shaḳhs ke dariyā 'tāriq'

    jis ne sahrā kabhī chhānā nahīñ hotā hai

    dil ko aazar lagana hi nahin hota hai

    ab tere dhyan mein jaana hi nahin hota hai

    saf-ba-saf der se palkon pe ruke hain aansu

    qafila aage rawana hi nahin hota hai

    mang leta hai dil-o-jaan wo hanste hanste

    aur mere pas bahana hi nahin hota hai

    mashwara karne ko jate the kabhi majnun se

    dasht mein ab koi dana hi nahin hota hai

    is qadar gard hai is aab-o-hawa mein har-su

    naKHl-e-ehsas tawana hi nahin hota hai

    hath aa jata hai us shaKHs ke dariya 'tariq'

    jis ne sahra kabhi chhana hi nahin hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now