dil ko ab tujhse juda ho kar bhi jina aa gaya
dil ko ab tujh se judā ho kar bhī jiinā aa gayā
is jharoke meñ havā kā taaza jhoñkā aa gayā
in añdheroñ meñ pahuñch paanā bahut dushvār thā
maiñ tirī āvāz par palkeñ jhapaktā aa gayā
ehtirāman uñgliyoñ se hoñT giile kar liye
jab mirī dahlīz pe ḳhud bah ke dariyā aa gayā
is jahāñ meñ mere jaisā koī bad-qismat bhī hai
jis ne jo kuchh bhī utārā mujh ko puurā aa gayā
vo to kahtā thā ki tum se achchhe sau mil jā.eñge
aaj use is haal meñ dekhā to ronā aa gayā
mārne vaalā thā apne aap ko us roz maiñ
phir mirī āñkhoñ ke aage us kā chehra aa gayā
dil ko ab tujh se juda ho kar bhi jina aa gaya
is jharoke mein hawa ka taza jhonka aa gaya
in andheron mein pahunch pana bahut dushwar tha
main teri aawaz par palken jhapakta aa gaya
ehtiraman ungliyon se honT gile kar liye
jab meri dahliz pe KHud bah ke dariya aa gaya
is jahan mein mere jaisa koi bad-qismat bhi hai
jis ne jo kuchh bhi utara mujh ko pura aa gaya
wo to kahta tha ki tum se achchhe sau mil jaenge
aaj use is haal mein dekha to rona aa gaya
marne wala tha apne aap ko us roz main
phir meri aankhon ke aage us ka chehra aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.