dil ko aise luT gaya hai
dil ko aise luuT gayā hai
jaise shīsha TuuT gayā hai
aaj ke daur ko dekh le tū bhī
sach se aage jhuuT gayā hai
laash huī hai chithḌā chithḌā
maz.hab kā bam phuuT gayā hai
apnī chābī pheñk dī ham ne
jab se taalā TuuT gayā hai
sastī se sastī shādī meñ
mahñge vaalā suiT gayā hai
station kī ḳhāmushī jaise
koī apnā chhūT gayā hai
us kursī kā ġham bhī pūchho
jis kā paayā TuuT gayā hai
dil ko aise luT gaya hai
jaise shisha TuT gaya hai
aaj ke daur ko dekh le tu bhi
sach se aage jhuT gaya hai
lash hui hai chithDa chithDa
mazhab ka bam phuT gaya hai
apni chabi phenk di hum ne
jab se tala TuT gaya hai
sasti se sasti shadi mein
mahnge wala suiT gaya hai
station ki KHamushi jaise
koi apna chhuT gaya hai
us kursi ka gham bhi puchho
jis ka paya TuT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.