dil ko bacha ke lae the sare jahan se hum
dil ko bachā ke laa.e the saare jahāñ se ham
āḳhir meñ choT khā ga.e ik mehrbāñ se ham
be-fikryoñ kā raaj ho rassa-kashī ke saath
vo madrasa hayāt kā laa.eñ kahāñ se ham
ab gard bhī hamārī na pā.eñge qāfile
aage nikal ga.e haiñ bahut kārvāñ se ham
apnā shumār hī nahīñ phūloñ meñ baaġh ke
aise meñ kyā umiid kareñ bāġhbāñ se ham
'jāmī' vatan meñ apne musāfir thī zindagī
london meñ bin-bulā.e hue mehmāñ se ham
dil ko bacha ke lae the sare jahan se hum
aaKHir mein choT kha gae ek mehrban se hum
be-fikryon ka raj ho rassa-kashi ke sath
wo madrasa hayat ka laen kahan se hum
ab gard bhi hamari na paenge qafile
aage nikal gae hain bahut karwan se hum
apna shumar hi nahin phulon mein bagh ke
aise mein kya umid karen baghban se hum
'jami' watan mein apne musafir thi zindagi
london mein bin-bulae hue mehman se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.