dil ko baKHsha soz-o-gudaz
dil ko baḳhshā soz-o-gudāz
ai ġham terī umr-e-darāz
ishq-o-havas meñ rishta kaisā
ek haqīqat ek majāz
besh nahīñ hai dil kī qīmat
ek nigāh-e-lutf-navāz
is kā chhupānā khel nahīñ hai
raaz aur vo bhī un kā raaz
aa.e koī ham se pūchhe
mar kar jiine ke andāz
jazb-e-darūñ kā faiz hai 'manshā'
fikr-e-suḳhan kī ye parvāz
dil ko baKHsha soz-o-gudaz
ai gham teri umr-e-daraaz
ishq-o-hawas mein rishta kaisa
ek haqiqat ek majaz
besh nahin hai dil ki qimat
ek nigah-e-lutf-nawaz
is ka chhupana khel nahin hai
raaz aur wo bhi un ka raaz
aae koi hum se puchhe
mar kar jine ke andaz
jazb-e-darun ka faiz hai 'mansha'
fikr-e-suKHan ki ye parwaz
- Nawa-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.