dil ko gham se hazar na ho jae
dil ko ġham se hazar na ho jaa.e
zindagī dard-e-sar na ho jaa.e
ġham mohabbat-asar na ho jaa.e
be-ḳhabar bā-ḳhabar na ho jaa.e
jā hī pahuñcheñ ham us ke kūche meñ
aql agar rāhbar na ho jaa.e
nā-umīdī bhī saath chhoḌ na de
dil bhī muflis kā ghar na ho jaa.e
dil ke dāġhoñ ko taaza karnā hai
shab-e-ġham kī sahar na ho jaa.e
hāl-e-'nāshād' kyā kahe koī
kahīñ tum par asar na ho jaa.e
dil ko gham se hazar na ho jae
zindagi dard-e-sar na ho jae
gham mohabbat-asar na ho jae
be-KHabar ba-KHabar na ho jae
ja hi pahunchen hum us ke kuche mein
aql agar rahbar na ho jae
na-umidi bhi sath chhoD na de
dil bhi muflis ka ghar na ho jae
dil ke daghon ko taza karna hai
shab-e-gham ki sahar na ho jae
haal-e-'nashad' kya kahe koi
kahin tum par asar na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.