dil ko haal-e-qarar mein dekha
dil ko hāl-e-qarār meñ dekhā
ye karishma bahār meñ dekhā
jis ko chāhā ḳhumār meñ chāhā
jis ko dekhā ġhubār meñ dekhā
ḳhvāhishoñ ko bahut havā denā
vasf ye ham ne yaar meñ dekhā
ik bashar meñ ka.ī bashar dekhe
juz-o-kul ke hisār meñ dekhā
jab se dekhā hai is zamīñ ko 'munīr'
qaid-e-lail-o-nahār meñ dekhā
dil ko haal-e-qarar mein dekha
ye karishma bahaar mein dekha
jis ko chaha KHumar mein chaha
jis ko dekha ghubar mein dekha
KHwahishon ko bahut hawa dena
wasf ye hum ne yar mein dekha
ek bashar mein kai bashar dekhe
juz-o-kul ke hisar mein dekha
jab se dekha hai is zamin ko 'munir'
qaid-e-lail-o-nahaar mein dekha
- Book : Muasir (Pg. 470)
- Author : Habibullah
- Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.