dil ko hasil KHushi nahin hoti
dil ko hāsil ḳhushī nahīñ hotī
ek pal zindagī nahīñ hotī
raat āñkhoñ meñ kaT ga.ī lekin
dard meñ kuchh kamī nahīñ hotī
kuchh to hai dostī ke pahlū meñ
be-sabab dushmanī nahīñ hotī
har koī aap sā nahīñ hotā
har galī vo galī nahīñ hotī
dil ko hasil KHushi nahin hoti
ek pal zindagi nahin hoti
raat aankhon mein kaT gai lekin
dard mein kuchh kami nahin hoti
kuchh to hai dosti ke pahlu mein
be-sabab dushmani nahin hoti
har koi aap sa nahin hota
har gali wo gali nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.