dil ko humne mail-e-ah-o-fughan rahne diya
dil ko ham ne mā.il-e-āh-o-fuġhāñ rahne diyā
zindagī ko vaqf-e-ālām-e-jahāñ rahne diyā
muft meñ rusvā ho kyoñ ḳhuddārī-e-ahl-e-junūñ
maiñ ne dil kī baat ko dil meñ nihāñ rahne diyā
harf kyoñ aa.e bhalā ka.aba-sifat dil par mire
go butoñ ko maiñ ne dil ke darmiyāñ rahne diyā
har-nafas taaza ḳhalish hai har qadam taaza sitam
gardish-e-ayyām ne kab shādmāñ rahne diyā
ham ne nāmūs-e-gulistāñ ke tahaffuz ke liye
bijliyoñ kī zad pe apnā āshiyāñ rahne diyā
le uḌī hotī havā-e-gumrahī rasm-e-vajūd
vo to ham ne sar ko zeb-e-āstāñ rahne diyā
uf mirī ḳhalvat-talab kaifiyyat-e-dīvāngī
hasb-e-armāñ terī mahfil meñ kahāñ rahne diyā
ye samajh kar us meñ shāmil hai ḳhushī terī ai dost
zindagī ko tere ġham meñ nauha-ḳhvāñ rahne diyā
un kī yād-e-jāñ-fazā aa.ī kuchh is andāz se
naam is kā der tak vird-e-zabāñ rahne diyā
kar ke chashm-e-nāz ne shādāb zaḳhmoñ ke gulāb
gulshan-e-dil meñ bahāroñ ko javāñ rahne diyā
ham hujūm-e-ġham meñ 'nāsir' muskurāte hī rahe
zindagī se maut ko yuuñ bad-gumāñ rahne dayā
dil ko hum ne mail-e-ah-o-fughan rahne diya
zindagi ko waqf-e-alam-e-jahan rahne diya
muft mein ruswa ho kyon KHuddari-e-ahl-e-junun
main ne dil ki baat ko dil mein nihan rahne diya
harf kyon aae bhala kaba-sifat dil par mere
go buton ko main ne dil ke darmiyan rahne diya
har-nafas taza KHalish hai har qadam taza sitam
gardish-e-ayyam ne kab shadman rahne diya
hum ne namus-e-gulistan ke tahaffuz ke liye
bijliyon ki zad pe apna aashiyan rahne diya
le uDi hoti hawa-e-gumrahi rasm-e-wajud
wo to hum ne sar ko zeb-e-astan rahne diya
uf meri KHalwat-talab kaifiyyat-e-diwangi
hasb-e-arman teri mahfil mein kahan rahne diya
ye samajh kar us mein shamil hai KHushi teri ai dost
zindagi ko tere gham mein nauha-KHwan rahne diya
un ki yaad-e-jaan-faza aai kuchh is andaz se
nam is ka der tak wird-e-zaban rahne diya
kar ke chashm-e-naz ne shadab zaKHmon ke gulab
gulshan-e-dil mein bahaaron ko jawan rahne diya
hum hujum-e-gham mein 'nasir' muskuraate hi rahe
zindagi se maut ko yun bad-guman rahne daya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.