dil ko husn-e-gham-e-jaanan se farozan kar den
dil ko husn-e-ġham-e-jānāñ se farozāñ kar deñ
kufr meñ rang bhareñ aisā ki īmāñ kar deñ
ye haqīqat hai ki zid par agar aa jaa.eñ to ham
apnī sūrat se tirī shakl numāyāñ kar deñ
jaane vaale ba-ḳhushī jaa.eñ magar arz ye hai
chalte chalte mire jiine ke bhī sāmāñ kar deñ
inkishāfāt-e-mohabbat meñ rahe kyoñ uljhan
laao shīrāza-e-hastī ko pareshāñ kar deñ
phir mire haal pe sarkār tabassum farmā.eñ
phir mire dil ko zarā barq-badāmāñ kar deñ
kyoñ kisī aur kā mamnūn-e-karam ho 'maḳhmūr'
aap ne dard diyā aap hī darmāñ kar deñ
dil ko husn-e-gham-e-jaanan se farozan kar den
kufr mein rang bharen aisa ki iman kar den
ye haqiqat hai ki zid par agar aa jaen to hum
apni surat se teri shakl numayan kar den
jaane wale ba-KHushi jaen magar arz ye hai
chalte chalte mere jine ke bhi saman kar den
inkishafat-e-mohabbat mein rahe kyon uljhan
lao shiraaza-e-hasti ko pareshan kar den
phir mere haal pe sarkar tabassum farmaen
phir mere dil ko zara barq-badaman kar den
kyon kisi aur ka mamnun-e-karam ho 'maKHmur'
aap ne dard diya aap hi darman kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.