dil ko is tarh se samjhao ki aawaz na ho
dil ko is tarh se samjhāo ki āvāz na ho
jab ho āvāz tumhārī to koī saaz na ho
sab ko mā'lūm hoñ ulfat ke hamāre qisse
aur duniyā se chhupāne ko koī raaz na ho
ye jo ulfat hai zamāne meñ ise 'aam kareñ
kyoñ zamāna hī mire 'ishq kā hamrāz na ho
saarī duniyā se kaho likkhe fasāna dil kā
shart ye hai ki nihāñ is meñ koī raaz na ho
ai sabā tujh se kahā thā ki uḌā de āñchal
lekin itnā ki ḳhafā tujh se ḳhush-andāz na ho
mahfil-e-dil ko sajāo to kuchh aise 'ādil'
ab ke parvānoñ meñ pinhāñ koī ġhammāz na ho
dil ko is tarh se samjhao ki aawaz na ho
jab ho aawaz tumhaari to koi saz na ho
sab ko ma'lum hon ulfat ke hamare qisse
aur duniya se chhupane ko koi raaz na ho
ye jo ulfat hai zamane mein ise 'am karen
kyon zamana hi mere 'ishq ka hamraaz na ho
sari duniya se kaho likkhe fasana dil ka
shart ye hai ki nihan is mein koi raaz na ho
ai saba tujh se kaha tha ki uDa de aanchal
lekin itna ki KHafa tujh se KHush-andaz na ho
mahfil-e-dil ko sajao to kuchh aise 'adil'
ab ke parwanon mein pinhan koi ghammaz na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.