dil ko kar deta hai tasKHir samajhta hun main
dil ko kar detā hai tasḳhīr samajhtā huuñ maiñ
'ishq ko paañv kī zanjīr samajhtā huuñ maiñ
ab mire ḳhvāb meñ aane kī ijāzat hai tumheñ
ab to har ḳhvāb kī tā'bīr samajhtā huuñ maiñ
ruuh ab tak hai mo'attar gul-e-tāza kī tarah
'ishq ko mushk-e-abad-gīr samajhtā huuñ maiñ
tū agar mujh ko pukāre to Thahartā hī nahīñ
ek lamhe ko bhī tāḳhīr samajhtā huuñ maiñ
dil ko kar deta hai tasKHir samajhta hun main
'ishq ko panw ki zanjir samajhta hun main
ab mere KHwab mein aane ki ijazat hai tumhein
ab to har KHwab ki ta'bir samajhta hun main
ruh ab tak hai mo'attar gul-e-taza ki tarah
'ishq ko mushk-e-abad-gir samajhta hun main
tu agar mujh ko pukare to Thaharta hi nahin
ek lamhe ko bhi taKHir samajhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.