dil ko kitna samjhaya hai sab maya hai
dil ko kitnā samjhāyā hai sab maayā hai
kaun kisī kā ho paayā hai sab maayā hai
jab bhī ḳhvāb se bāhar aane kī koshish kī
niiñd kā aalam gahrāyā hai sab maayā hai
ham ne apnī ḳhātir ik suulī banvā kar
ḳhud ko us par laTkāyā hai sab maayā hai
kyā maz.har kī nisbat hotī hai manzar se
kyā sūraj hai kyā saayā hai sab maayā hai
raah meñ baiThne vaale logoñ ne hī aksar
ham ko raah se bhaTkāyā hai sab maayā hai
ham ne zīst-muamma āḳhir hal kar Daalā
sab maayā hai sab maayā hai sab maayā hai
dil ko kitna samjhaya hai sab maya hai
kaun kisi ka ho paya hai sab maya hai
jab bhi KHwab se bahar aane ki koshish ki
nind ka aalam gahraya hai sab maya hai
hum ne apni KHatir ek suli banwa kar
KHud ko us par laTkaya hai sab maya hai
kya mazhar ki nisbat hoti hai manzar se
kya suraj hai kya saya hai sab maya hai
rah mein baiThne wale logon ne hi aksar
hum ko rah se bhaTkaya hai sab maya hai
hum ne zist-muamma aaKHir hal kar Dala
sab maya hai sab maya hai sab maya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.