dil ko lunga na dil-ruba ke ewaz
dil ko lūñgā na dil-rubā ke evaz
mudda.ī aur mudda.ā ke evaz
us ke kūche meñ naqsh-e-pā us ke
ban ga.e ḳhizr-e-rahnumā ke evaz
ye bhī armān rah gayā dam-e-naz.a
kaash aatā koī qazā ke evaz
yahī iqrār thā yahī va.ada
ab jafā hotī hai vafā ke evaz
mere jiine se kyā tumheñ hāsil
zahr de do mujhe davā ke evaz
shauq agar aap ko hai mehñdī kā
ḳhuun mal lījiye hinā ke evaz
kyā jahannum meñ mujh ko jaanā hai
tum ko chāhūñ buto ḳhudā ke evaz
tum ko chāhā yahī qusūr huā
do sarā mujh ko is ḳhatā ke evaz
'hāmid'-e-zār kyā kahūñ un se
hai duā lab pe mudda.ā ke evaz
dil ko lunga na dil-ruba ke ewaz
muddai aur muddaa ke ewaz
us ke kuche mein naqsh-e-pa us ke
ban gae KHizr-e-rahnuma ke ewaz
ye bhi arman rah gaya dam-e-naza
kash aata koi qaza ke ewaz
yahi iqrar tha yahi wada
ab jafa hoti hai wafa ke ewaz
mere jine se kya tumhein hasil
zahr de do mujhe dawa ke ewaz
shauq agar aap ko hai mehndi ka
KHun mal lijiye hina ke ewaz
kya jahannum mein mujh ko jaana hai
tum ko chahun buto KHuda ke ewaz
tum ko chaha yahi qusur hua
do sara mujh ko is KHata ke ewaz
'hamid'-e-zar kya kahun un se
hai dua lab pe muddaa ke ewaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.