dil ko mamnūn-e-tamannā na karo
yahī achchhā hai ki achchhā na karo
ham to har choT ko añgez kareñ
tum koī baat gavārā na karo
marg-o-hastī meñ kashākash hogī
naġhma-o-husn ko yakjā na karo
raushnī had se ziyāda na baḌhe
sāmne mere añdherā na karo
ai 'munavār' na karo pesh-e-avām
mere ash.ār ko rusvā na karo
dil ko mamnun-e-tamanna na karo
yahi achchha hai ki achchha na karo
hum to har choT ko angez karen
tum koi baat gawara na karo
marg-o-hasti mein kashakash hogi
naghma-o-husn ko yakja na karo
raushni had se ziyaada na baDhe
samne mere andhera na karo
ai 'munawar' na karo pesh-e-awam
mere ashaar ko ruswa na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.