dil ko milta nahin qarar kahin
dil ko miltā nahīñ qarār kahīñ
ġham bhī hotā hai sāzgār kahīñ
jab ghaTā.eñ umaD ke aatī haiñ
baiTh jaate haiñ bāda-ḳhvār kahīñ
mausam-e-gul meñ abr-e-bārāñ meñ
dil pe rahtā hai iḳhtiyār kahīñ
terī zulfoñ ke pech-o-ḳham ke nisār
gum na ho jaa.e rahguzār kahīñ
bū-e-gul ke hujūm-e-raqsāñ meñ
par Thahartī nahīñ bahār kahīñ
dil ko milta nahin qarar kahin
gham bhi hota hai sazgar kahin
jab ghaTaen umaD ke aati hain
baiTh jate hain baada-KHwar kahin
mausam-e-gul mein abr-e-baran mein
dil pe rahta hai iKHtiyar kahin
teri zulfon ke pech-o-KHam ke nisar
gum na ho jae rahguzar kahin
bu-e-gul ke hujum-e-raqsan mein
par Thaharti nahin bahaar kahin
- Book : Awaz Na Do (Pg. 1)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah ( 1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.