dil ko paband-e-raza kar dekho
dil ko pāband-e-razā kar dekho
koī din tark-e-duā kar dekho
kitnā ābād hai vīrāna-e-dil
ġham ko dam-sāz banā kar dekho
kitnī raushan hai shab-e-tār-e-hayāt
dard kī jot jagā kar dekho
kitne armānoñ se chāhā hai tumheñ
dil-e-betāb meñ aa kar dekho
bazm meñ tāb-e-nazar kis ko hai
tum sar-e-bazm to aa kar dekho
dil ko paband-e-raza kar dekho
koi din tark-e-dua kar dekho
kitna aabaad hai virana-e-dil
gham ko dam-saz bana kar dekho
kitni raushan hai shab-e-tar-e-hayat
dard ki jot jaga kar dekho
kitne armanon se chaha hai tumhein
dil-e-betab mein aa kar dekho
bazm mein tab-e-nazar kis ko hai
tum sar-e-bazm to aa kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.