dil ko pahle lahu lahu karna
dil ko pahle lahū lahū karnā
phir kisī kī tum aarzū karnā
hai ḳhizāñ-āshnā hayāt apnī
kyā tamannā-e-rang-o-bū karnā
manzileñ apne zer-e-pā hoñgī
hai magar shart justujū karnā
pahle dil ko banā le ā.īna
baat phir mujh se rū-ba-rū karnā
un kī āñkhoñ ko ḳhuub aatā hai
be-niyāz-e-ḳhum-o-subū karnā
taaki hāsil ho lazzat-e-āzār
koī sāzish mire adū karnā
ye kamāl-e-suḳhan hai ai 'nādim'
be-zabānoñ se guftugū karnā
dil ko pahle lahu lahu karna
phir kisi ki tum aarzu karna
hai KHizan-ashna hayat apni
kya tamanna-e-rang-o-bu karna
manzilen apne zer-e-pa hongi
hai magar shart justuju karna
pahle dil ko bana le aaina
baat phir mujh se ru-ba-ru karna
un ki aankhon ko KHub aata hai
be-niyaz-e-KHum-o-subu karna
taki hasil ho lazzat-e-azar
koi sazish mere adu karna
ye kamal-e-suKHan hai ai 'nadim'
be-zabanon se guftugu karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.