dil ko patthar bana ke dekhte hain
dil ko patthar banā ke dekhte haiñ
us se nazreñ churā ke dekhte haiñ
dil ko taskīn kī zarūrat hai
dard ko gungunā ke dekhte haiñ
koī aa.e na aa.e us se kyā
aaj ghar ko sajā ke dekhte haiñ
jāgtā hai ki so rahā hai vo
us ke ḳhvāboñ meñ jā ke dekhte haiñ
us ne kyā likh diyā hai āñkhoñ meñ
ā.īna paas lā ke dekhte haiñ
phir nayā dard chāhtā hai ye dil
us kī bātoñ meñ aa ke dekhte haiñ
dil ko patthar bana ke dekhte hain
us se nazren chura ke dekhte hain
dil ko taskin ki zarurat hai
dard ko gunguna ke dekhte hain
koi aae na aae us se kya
aaj ghar ko saja ke dekhte hain
jagta hai ki so raha hai wo
us ke KHwabon mein ja ke dekhte hain
us ne kya likh diya hai aankhon mein
aaina pas la ke dekhte hain
phir naya dard chahta hai ye dil
us ki baaton mein aa ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.