dil ko patthar bana ke dekhunga
dil ko patthar banā ke dekhūñgā
maiñ bhī tujh ko bhulā ke dekhūñgā
rāste kā to kar luuñ andāza
sū-e-manzil bhī jā ke dekhūñgā
ḳhud bujhā dūñgā diip maiñ jab bhī
taur badle havā ke dekhūñgā
kis liye log haiñ fidā us par
us kī mahfil meñ jā ke dekhūñgā
maiñ ḳhushī kī taraf bhī ba.az auqāt
ġham se nazreñ churā ke dekhūñgā
chāhe kho jaa.e nuur āñkhoñ kā
us ko nazreñ jamā ke dekhūñgā
bā-vafā hī sahī magar 'hātif'
maiñ use aazmā ke dekhūñgā
dil ko patthar bana ke dekhunga
main bhi tujh ko bhula ke dekhunga
raste ka to kar lun andaza
su-e-manzil bhi ja ke dekhunga
KHud bujha dunga dip main jab bhi
taur badle hawa ke dekhunga
kis liye log hain fida us par
us ki mahfil mein ja ke dekhunga
main KHushi ki taraf bhi baz auqat
gham se nazren chura ke dekhunga
chahe kho jae nur aankhon ka
us ko nazren jama ke dekhunga
ba-wafa hi sahi magar 'hatif'
main use aazma ke dekhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.