dil ko phir banane mein waqt chahiye kuchh to
dil ko phir banāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
kirchiyāñ uThāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
saath vo nahīñ pal kā umr bhar kā lagtā thā
us ko ab bhulāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
is qadar nahīñ āsāñ jitnā ham ne samjhā thā
hāl-e-dil sunāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
tinkā tinkā chun chun kar ham ne jo banāyā thā
āshiyāñ jalāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
aañkh kā samundar se kuchh ajiib rishta hai
sail-e-ġham bahāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
dard-e-dil baḌhāne ko ek lamha kaafī hai
dard-e-dil ghaTāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
phir palaT ke jaane kī ham na rakheñ ḳhvāhish bhī
kashtiyāñ jalāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
zaḳhm jo purāne haiñ un ko ham rafū kar leñ
phir fareb khāne meñ vaqt chāhiye kuchh to
jab vajūd kā rishta had pe maut kī pahuñche
paar us ke jaane meñ vaqt chāhiye kuchh to
dil ko phir banane mein waqt chahiye kuchh to
kirchiyan uThane mein waqt chahiye kuchh to
sath wo nahin pal ka umr bhar ka lagta tha
us ko ab bhulane mein waqt chahiye kuchh to
is qadar nahin aasan jitna hum ne samjha tha
haal-e-dil sunane mein waqt chahiye kuchh to
tinka tinka chun chun kar hum ne jo banaya tha
aashiyan jalane mein waqt chahiye kuchh to
aankh ka samundar se kuchh ajib rishta hai
sail-e-gham bahane mein waqt chahiye kuchh to
dard-e-dil baDhane ko ek lamha kafi hai
dard-e-dil ghaTane mein waqt chahiye kuchh to
phir palaT ke jaane ki hum na rakhen KHwahish bhi
kashtiyan jalane mein waqt chahiye kuchh to
zaKHm jo purane hain un ko hum rafu kar len
phir fareb khane mein waqt chahiye kuchh to
jab wajud ka rishta had pe maut ki pahunche
par us ke jaane mein waqt chahiye kuchh to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.