dil ko sabr-o-qarar tum se hai
dil ko sabr-o-qarār tum se hai
zindagī ḳhush-gavār tum se hai
dilkashī tum se hai sitāroñ meñ
gulsitāñ meñ bahār tum se hai
allah allāh re ye husn-o-jamāl
maah bhī sharmsār tum se hai
mujh ko is daur-e-zindagānī meñ
har ḳhushī sāzgār tum se hai
mast nazreñ tumhārī kyā kahnā
ik jahāñ bāda-ḳhvār tum se hai
nighateñ gul nisār karte haiñ
ye fazā mushk-bār tum se hai
garche lākhoñ sitam sahe dil par
phir bhī 'paikāñ' ko pyaar tum se hai
dil ko sabr-o-qarar tum se hai
zindagi KHush-gawar tum se hai
dilkashi tum se hai sitaron mein
gulsitan mein bahaar tum se hai
allah allah re ye husn-o-jamal
mah bhi sharmsar tum se hai
mujh ko is daur-e-zindagani mein
har KHushi sazgar tum se hai
mast nazren tumhaari kya kahna
ek jahan baada-KHwar tum se hai
nighaten gul nisar karte hain
ye faza mushk-bar tum se hai
garche lakhon sitam sahe dil par
phir bhi 'paikan' ko pyar tum se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.