Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko shisha kahun aankhon ko main paimana kahun

Zaheen Shah Taji

dil ko shisha kahun aankhon ko main paimana kahun

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    dil ko shīsha kahūñ āñkhoñ ko maiñ paimāna kahūñ

    aap mai-ḳhāna banūñ phir tujhe mai-ḳhāna kahūñ

    pā-e-sāqī se hai sābit-qadamī hastī meñ

    sajda-e-shukr ko maiñ laġhzish-e-mastāna kahūñ

    ek aag hai do naam se do samt lagī

    sho’la-e-sham’ ko soz-e-dil-e-parvāna kahūñ

    ḳhalq saudā-zāda-e-dair-o-haram hai lekin

    hai koī in meñ jise maiñ tirā dīvāna kahūñ

    kuchh bhī dekhā na gayā dekhne vāloñ se 'zahīn'

    kyuuñ na jalvoñ ko hijāb-e-ruḳh-e-jānāna kahūñ

    dil ko shisha kahun aankhon ko main paimana kahun

    aap mai-KHana banun phir tujhe mai-KHana kahun

    pa-e-saqi se hai sabit-qadami hasti mein

    sajda-e-shukr ko main laghzish-e-mastana kahun

    ek hi aag hai do nam se do samt lagi

    sho’la-e-sham’ ko soz-e-dil-e-parwana kahun

    KHalq sauda-zada-e-dair-o-haram hai lekin

    hai koi in mein jise main tera diwana kahun

    kuchh bhi dekha na gaya dekhne walon se 'zahin'

    kyun na jalwon ko hijab-e-ruKH-e-jaanana kahun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now